Nasl-e-Insani (Roman Urdu)

Main Canada ke shehar Toronto mein rehti hoon jahan bohat saare rang o nasal aur mazaahib ke log rehte hain. Aur yeh meri khush-qismati hai ke iski wajah se mujhe bhi apne “Muslim” hone ki shanakht samajhne mein madad mili. Allah ki nazar mein Muslim woh hai jo duniya mein salamti laaye chaahe woh kisi bhi rang o nasal ka ho, kisi bhi mazhab se uska talluq ho, koi bhi zaban bolta ho ya kisi bhi mulk ka rehne wala ho. Lekin is kainaat ke Khaliq ki nazar mein woh Muslim hoga, kyunke woh uski makhlooq ko apni zaat se salamti pohancha raha hai. Is liye main bhi apne aap ko Muslim kehti hoon aur koshish karti hoon ke mere ird gird jo bhi log hon unko meri zaat se salamti mile.

Toronto ko multi-cultural society kaha jata hai aur yeh baat waqai bohat durust hai!!! Is liye mujhe bhi bohat se mukhtalif mulkon aur aqaaid rakhne walon se waasta pada. Jab mukhtalif mazaahib ke logon se baat karo to sab “ek Ilah” ka tasavvur rakhte hain, sab ka yeh maanna hai ke achhe amal ka achha aur bure amal ka bura natija milta hai. Unki mazhabi taleemat bhi kam o besh ek jaisi hoti hain. Jab unse baat cheet karo to ek baat par sab ka ittefaq hai ke ikhlaqi qadrain bohat zaroori hain. Jo log achhe hote hain, unke sochne ka zaviya ek sa hota hai ke duniya mein aman o aman se mil jul kar rahen.

To phir yeh rang o nasal ke jhagray, mazhab ke naam par laraiyan, to aman ke naam par kaun charhaiyan karta hai?? Jin mulkon mein laraiyan ya jangain hui unke muhajireen Toronto mein bhi aa kar abaad hue hain. Unka yahi kehna hai ke hum sab to hamesha mil jul kar rehte the, ek doosre ke mazaahib ka ehteram karte aur unke tehwaron par milte the. Pata nahin kis ne yeh nafraton ke beej hamare ilaakon mein daalay? Kahan se yeh tafarruqaat ka poda uga aur ek tanawar shajar ban kar hum sab ko juda juda kar gaya.

Kafi arson se duniya ke mukhtalif mulkon mein jangain ho rahi hain. Masoom logon ka qatl-e-aam ho raha hai to auraton ki izzaten paamaal ho rahi hain. Masoom bachon ko be-rehmi ka nishana bana kar naslon ka khatma kiya ja raha hai. Insaniyat naapeyd hai aur log be-hiss hotay ja rahe hain. Shayad yahi iqtidar ke hameen ka “mission” hai. Lagta hai ab unhein insano ki zaroorat nahin rahi!!!!

Warna ek zamane mein mazhabi rehnumaon ke saath mil kar “isqaat-e-haml” par pabandi thi to duniya ki abaadi barhai ja rahi thi, taake unke karobaar chal saken, unki hukoomat duniya par qaim ho. Phir jab aahista aahista abaadi mein izafa hua aur isko sambhalna mushkil honay laga to khanay peenay ki ashyaa mein milawat shuru. Jis se ek taraf dawaion ke karobaar mein na sirf izafa hua to doosri taraf mukhtalif qisam ke amraaz duniya mein muta’arif honay aur sharah-e-bimari o amwaat mein izafa hua. Mulkon mein atomi hathiyaar band karwane ke naam par ek taraf mulkon se laraiyan to doosri taraf apne asliha ka karobaar jamana.

Is gorkh-dhanday mein peesta sirf ek aam insaan hai chaahe uska talluq kisi rang o nasal ya mazhab se ho. Insani nasal ka khatma karne ki yeh muhim bari khatarnak hai!!! Sirf jangon se hi nahin balki social media ke zariye bhi insano ka khatma karwaya ja raha hai. Aaj kal ke bachay aur naujawan nasal jinka zyada tar waqt sirf social media par sarf hota hai, woh mukhtalif qisam ki zehni amraaz mein mubtala hain. Woh a’asaabi tor par kamzor hotay ja rahe hain. Unki quwwat-e-bardasht kam hoti ja rahi hai. Woh mushkil halaat ka saamna nahin kar pate to depression ya mayoosi ka shikar ho jatay hain. Sabr o bardasht ki kami ke bais har cheez chahte hain ke foran muyassar ho jaye.

Yeh ek tashweeshnaak soorat-e-haal hai!!! Kyunke bil-akhir in sab ka ek hi anjaam hai: insano aur insaniyat ka khatma!!! Aur aisa kyu ho raha hai aur in sab awamil ke peeche kaun se haath hain????

Haaman aur Qaroon jaise log — jinka Ilah hai “iqtidar” — yani is duniya par apni marzi ki khilafat aur hukmarani qaim karna. Is ke liye pehle unhein insano ki zaroorat thi to unhon ne abaadi barhai. Ab zaroorat nahin rahi kyunke har kaam ke liye “AI aur robot” jaisi machinein muyassar hain, to insano ko kam karo kyunke unko sambhalne ke liye na jagah hai na wasail.

Lekin iqtidar ke nashe mein woh bhool gaye hain ke Ilah to sirf ek hi hai jo is kainaat ka Khaliq hai. Aur is Ilah ka ek qanoon yeh bhi hai ke “jab ek qaum apni taaqat ke nashe mein choor ho kar khud ko Ilah samajh kar is duniya ke nizam mein apni marzi ke qawaneen laati hai to tabahi uska muqaddar hoti hai.” Maazi ki bohat si azeem qaumon ka haal hamare samne hai.

Emaan-yafta woh kehlata hai jo ek Ilah (puri kainaat ka Khaliq o Malik), aur achhe, bure a’maal ka natija (Aakhirah) milna hai, is par yaqeen rakhe. Isi liye ek Momine ya emaan-yafta hone ke nate main yahi samajhti hoon ke ek din is duniya ko chhor kar jana hai. Maut to bar-haq hai. To kyu na mil jul kar rahen aur is duniya ko aman ka gahwara banayen. Kyunke hum ko apne achhe aur bure natije ka sila is duniya mein mil jana hai!!!

Bay-shak kal kis ne dekhi hai. Lekin apne aagay aane walon ke liye hamein apne aaj ko achha banana hoga. Yeh usi waqt mumkin hai jab hum khud-gharzi chhor kar doosron ko salamti pohanchayen!!! Aaj aap agar kisi doosre ka bhala karein ge to yaqeen rakhein us Zaat par jo sab ka Malik hai, woh aap ko wahan se nawazay ga jahan se aapka gumaan bhi na hoga!!!

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *