Qayamat ka zikr bohot se mazhabi halqon mein aam hota rehta hai. Aksar isay duniya ke ikhtitam se jora jata hai aur kaha jata hai ke duniya ke khatme se pehle kuch wazeh nishaniyan zahir hongi, jin ka zikar mazhabi kitaabon mein milta hai. Bohot se mazahib ka aqeeda hai ke is duniya ke khatme se pehle neki aur badi ki aik azeem jang hogi, jiske natije mein bari tabahi hogi. Qahat saali hogi, mausami tabdeeliyan aayengi, sooraj aur chaand grahan honge, zalzale aur doosri aasmaani aafatein aayengi, jinke sabab insani nasl tabah ho jayegi.
Aisi bohot si paish goiyan mazhabi majlison mein sunayi jati rehti hain. In ke sath yeh baatein bhi mashhoor hain ke kisi Nabi, Avatar ya Imam ki aamadd hogi jo duniya mein phelti hui buraiyon ka khatma kare ga. Media bhi apni shohrat ke liye in qisson ko istemal karta hai.
Hum bachpan se aisi kahaniyan suntay aa rahe hain. Ba haisiyat-e-Muslim, mera yaqeen hai ke har zinda cheez ko aik din marna hai, aur har cheez ko fana hona hai siwaye is duniya ke Khaliq ke. Aik din aisa aayega jab har rooh dobara zinda ki jayegi aur apne Rab ke huzoor pesh hogi.
Yehi asal Yawm-ul-Qayamah hai — yani maut ke baad dobara zinda hona. Us din har rooh apne aamaal ki jawabdeh hogi. Jis ke aamaal achay honge woh kamyaab hoga aur hamesha ki zindagi mein sukoon paayega, aur jis ke aamaal buray honge woh halakat mein hoga.
Magar afsos, humari tawajjo un kahaniyon par hai jo deen ke dushmanon ne humaray zehanon mein daal di hain, jaise:
- Dajjal ki hukoomat
- Nabi Isa (a.s.) ki wapsi
- Imam Mehdi (a.s.) ki aamadd
Riwayaton ke mutabiq yeh teenon Qayamat ki bari nishaniyan hain.
In ke hawalay se itni riwayatain hain ke ginna mushkil hai, lekin is se bhi zyada afsos logon ki be-fikri par hota hai ke woh sochte nahi.
Qur’an wazeh taur par batata hai ke Nabi Isa (a.s.) wafat pa chukay hain. Surah Al-Ma’idah (5:116) mein Allah aur Nabi Isa ke darmiyan mukalma bayaan hua hai. Is se saaf zahir hota hai ke Nabi Isa sirf aik martaba duniya mein aaye thay. Agar doosri martaba aana hota to Qur’an mein iska wazeh bayan hota.
Phir bhi log Nabi Isa ki wapsi ke muntazir hain, jabke zaban se Muhammad ﷺ ko aakhri Nabi maantay hain. Kehte hain ke chunke Yahood ne Nabi Isa ko nahi maana, is liye unki wapsi zaroori hai. To phir sawaal paida hota hai ke jab Yahood aur Nasara ne Muhammad ﷺ ko bhi nahi maana, jo tamam insaniyat ke liye bhejay gaye, to kya unki wapsi bhi zaroori honi chahiye?
Yeh kaisa insaaf hai ke baap dada ki ghaltiyon ki saza aane wali nasalain bhugtain? Yeh Allah ka qanoon nahi. Qur’an to yeh bhi kehta hai ke aakhri lamhay par imaan lana qubool nahi hota.
Jab Allah ne farma diya ke har faisla Qayamat ke din hoga, to phir Nabi Isa kyun wapas aayenge?
Isi tarah Dajjal ki kahaniyan bayan ki jati hain ke woh kisi jazeeray par qaid hai aur Qayamat se pehle zahir hoga. Us ke muqable ke liye Imam Mehdi ka zahoor hoga, jo sadiyon se ghaib hain. Dajjal ke fitnay se bachne ke liye bohot se Musalman har Juma Surah Al-Kahf parhtay hain.
Agar aqal se socha jaye to Dajjal bhi shaitan ka follower hai, aur shaitan to Adam (a.s.) ke zamane se maujood hai. Qur’an wazeh karta hai ke shaitan aur us ke sathi insaan ke dushman hain aur Qayamat tak gumrah karte rahenge (Surah Al-A‘raf 7:15–18). Allah ne hamesha hidayat di ke hum shaitan se hoshiyar rahain.
Asal imtehan hamara rozana ka imtehan hai — shaitan ke waswason se bachna. Humein har lamha chaukanna rehna chahiye taa keh Qayamat ke din Allah ke samne sharminda na hon.
Magar hum ne apne aap ko in riwayaton mein uljha liya hai. Agar socha jaye to baat bilkul saaf hai: duniya kab khatam hogi yeh Allah hi jaanta hai, magar jab hum mar jate hain to hamari duniya wahin khatam ho jati hai. Phir hum dobara uthaye jayenge aur apne Rab ke samne apne aamaal ka hisaab denge. Asal fikr us waqt ki honi chahiye.
Qur’an sirf aik cheez ko yaqini taur par bayan karta hai — maut ke baad zindagi. Is baat ka ilm kisi ko nahi ke duniya kab khatam hogi. Chahe riwayaton ki sari nishaniyan zahir ho jayein, phir bhi koi din aur tareekh nahi bata sakta.
Kyun ke Qayamat ka ilm sirf aur sirf Rabb-ul-Aalameen ke paas hai.
Leave a Reply